Thursday, February 28, 2013

On rishta aunties and the odd servings of tea.



It's been very very long since I last posted here. I'd blame it on university, but since you all know how much I actually study let's just blame it on twitter. Okay? Okay.

So, I wrote this speech on rishta aunties & the tea-trolley system for class. Was supposed to be in urdu. Thought I'd share it here. Much love to Maryam for all the help ♥.

"Humaray maashray main jab shaadi honi hoti hai, tou larkay walay pehle larki walon k yahan rishta ley k jaatay hain, khaas kar k agar arranged hoti hai. Arrange karwata kaun hai aakhir? Humaray maashray main ek rishtay wali aunty ka keera hota hai. Jin ka kaam sirf aur sirf sab ki shaadi karana hota hai. Har waqt apnay purse main ek photo album le ke ghoomti hain aur aisay gharon ki talaash main rehti hain jahan ke bachay bachay nahi rehtay. Shaadiyon main, dawaton main, harr jaga ley k jaayein gi yeh tasveerein, aur phir aap ki ammi k kaan main khusar phusar karna shuru kardein gi. Larkiyon ko dhoondtay huay sab ki khwaishein bohat hoti hain. Larki ki rangat gori, kamar patli, qadd acha, aur umer choti honi chahiye. Larki parhi likhi honi chahiye, magar woh uss parhai likhai ka istimaal nahin kar sakti. Larka jaisa bhi ho. Larkay k kirdaar k baaray main sawal karein ge tou woh loug naraz hojatay hain. Iss baat ko woh loug bura samajhtay hain. Larki k liye sab kuch chalta hai. Rishtay wali aunty aati hain aur aap ko batayein gi k "client ko doctor bahu chahiye, jo k shaadi k baad kaam nahin karay." Dawaton main jaa k har 16 saal ki larki ya 20 saal k larkay se kahein gi "Beta, kitne baray hogaye ho. Shaadi karne ka socha hai ab tak?". Sab ki umer nikli jaa rahi hoti hai tou bus sab parhai likhai chor k shadi karna shuru kardein. Kya aap se kabhi kisi ne yeh sawal kiya hai? Kya aap kisi rishtay wali aunty ko jaantay hain?

Iss maashray main ek nizam bana hua hai rishton ka. Larkay walay larki walon k ghar atay hain, larki ek trolley pe chai ley k aati hai aur un logon ko serve karti hai. Gaanon main bhi aap ko yeh bataya jaata hai, jaise k “Shayad meri shaadi ka khayal dil main aaya hai, isi liye mummy ne meri tumhe chai pe bulaya hai.” Phir uss ek chai pilanay ki mulaqaat k baad ya tou rishta aata hai ya nahin aata. Iss hi saqafat k upar tv pe ishtihaar bhi aatay hain. Jaise k ek ishtihaar aaya tha Tapal ki chai ki patti ka, uss main ek larki apne imtihaanon main position ley k aayi thi. Uss k baad woh ghar pohnchti hai aur uskay sar pe dupatta daala jaata hai aur uskay haath main ek chai ki tray pakrayi jaati hai.

Jab aap in cheezon ko farogh dein ge tou aakhir humara kya hoga? Aagay ki naslon ka kya hoga? Zara sochiye. "

Feedback would be appreciated!

4 comments:

  1. I would totally give you feedback if I could read this. Wish I knew all languages. -_-

    ReplyDelete
  2. Zara sochiye phir nochiye :D :p

    ReplyDelete
  3. Hahaha Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai :D.. Rishte wali aunties ko apna ghar bhi tou chalana hota hai akhir yaar :D Thanks to god that I've never met with that kind of aunties but heard almost every asset and liability about 'em, am i so blessed? :D

    Aur Jahan tak trolly system wali harkatein hain ye waaqi champu lagta hy. -__- that shouldn't be necessary.

    ReplyDelete
  4. Trolley system, how cheap looking msethod of displaying the girl as a commodity, just like the items on trolley.

    ReplyDelete